Sunday 4 April 2010

Kitni Baatein


Kitni baatein yaad aati hain..
Thasveerein si ban jaati hain..
Main kaise inhein bhooloon..
Dil ko kya samjhaaun..

Kitni baatein kehne ki hai..
Honton par jo sehmi si hai..
Ik roz inhein sun lo..
Kyun aise gumsum ho..

Kyun poori ho na paayi daastaan..
Kaise aayi hai aisi dooriyaan..

Dono ke dilon mein chupa hai..
Jo ik anjaana sa gham..
Kya ho paayega woh kam..
Koyi kya kahe..
Dono ne kabhi zindagi ke..
Ik mod pe bhi jo paayi..
Hai kaisi woh tanhaai..
Koyi kya kahe..
Kitna viraan hai ye sama..
Saanson mein jaise ghulta hai dhuwaan..
Kaisi aayi hai aisi dooriyaan..

Kitni Baatein..

Tumse aaj yun milke dil ko..
Yaad aaye lamhein kal ke..
Ye aansoon kyun hai chhalke..
Ab kya kahen..
Tumne humko dekha jo aise..
Toh ik umeedh hai jaagi..
Phir tumse pyaar paane ki..
Ab kya kahen..
Aa gaye hum kahaan se kahaan..
Dekhe mudke ye dil ka kaarvaan..
Kaisi aayi hai aisi dooriyaan..

Kitni Baatein..

Movie : Lakshya
Lyrics : Javed Akthar
Singer : Hariharan, Sadhana Sargam

No comments:

Post a Comment

Any song requests, suggestions and comments are always welcome. Thank you!